Tujhe dekhkar noor ke katre bhi hain hairan se
Roshni ke moti dhoondte hain naya kaam pareshaan se
Koshish mein tere raks ki barabari ki
Choor hain saari apsarain bhi thakaan se
Tera khayal aa jaata hai zehen mein
Jab bhi guzarta hun ab gulistaan se
Khayalon ka apne rehnuma bana diya hai tujhe
Baahar fir bhi ghumte hain tujhse anjaan se
Seher ke saath aayegi tu suna hai maine
Baitha hun palkein bichhaye apne dar pe shaam se
Kuchh rumaani khayalon ne le li hai paidayish
Nahin inkaar mujhe muhabbat ke imkaan se.
No comments:
Post a Comment