Ek aaine pe nazar padi to dekha.
Mere saare gham jhankte the meri taraf.
Vo chot jo khayi thi bachpan mein,
Ab bhi maathe pe baithi hai.
Aur jo beemar pada tha main ek dafa,
Uski silvatein bhi maathe pe ataki hain.
College ki kuchh yaadein bhi.
Aankhon ke neeche aa basi hain.
Har ek raath ki ayaashi,
Kuchh gehre gaddhon mein kaali hai.
Aur tere jaane ka gham.
Uski to main kya baat karun.
Mere jaate baal, meri jaati hansi.
Meri jaati zindagi, meri aankhon ki nami.
Sab pe tere jaane ka asar hua.
In kuchh saalon mein main.
Kayi dashak boodha hua.
Ye saari nishaniyan hai meri jaddojehed ki.
Ye saari kurbaniyan hai, meri zindagi ki.
Kuchh faqr bhi hai inpe.
Kuchh sharm bhi.
Is shakal mein sab galat hai, sab bikhra hua.
Par hai ye sab mera pehchana hua.
Ek cheez magar khatakti hai.
Is tooti hui hasti mein bhi kuchh jhurriyan pehchan ki nahi hai.
Aankhon ke kinare bani ye nadiyan,
Jaane kis mausam aayin thi.
Shayad tere hone ki gawah hain ye.
Par inme ab bhi ye chamak kyun?
Itne saalon mein bhi,
Inme itna sukoon kyun?
Kya ye bas, mere maazi ka junoon hai.
Ya shayad,
Tere aane ki khabar ka fusoon hai..
Sometimes we do not know the destination.It is there somewhere.I do not deny its existence but the vision is hazy.Hence the name UNCHARTED TERRITORIES.. Guess I will find it in due course of time but it would not be the destination then,isn't it..