Kyun shor ho raha hai itna
Koun aaya hai aaj phir mujhe jilane
Raat kshitij pe dikhti hai ab
Sapne khushnuma aa rahe hai sirhane
Dur bhagao sabko, alag karo mujhse
Mujhe is shor se ab mukti chahiye
Khub sun liye duniye ke kehkahe
Ab bas ek tanhayi bhari maut chahiye.
Dost dushman sab hi to ajnabee hain
Dil se nikalti aah ko sunta nahi koi
Sabko matlab hai apne kaam se yahan
Meri taqleef kahan samajhta hai koi
Na mujhe kisi ki madad ki hai zaroorat
Na hi kisi ki koi sahanbhuti chahiye
Neend ke aagosh mein hai zindagi
Ab bas ek tanhayi bhari maut chahiye..
No comments:
Post a Comment