Rahat ki saans lete rahe
Chand aakhri saanse jo hain.
Ab ye jism bhi thak raha hai.
Dhadakte-dhadakte dil bhi ab ruk raha hai.
Aadat si ho gayi hai jeene ki
Ab chhodi bhi nahi jaati
Reh gayi hain jo chand saanse
Ab mujhse li bhi nahi jaati.
Aankein bhi band, khwab hi dekhti hain
Khulte hi saamne,
Mare chehron ki baadh nazar aati hai
Sunayi deti nahi ab,
Masjid ki azaan.
Mandir ki ghantiyan,
Na koi ummeed ki aawaz.
Chakhne ko milti hain ab
Kadvi davaiyan.
Reh gayi hain ab bas,
Yaadon ki angraiyan.
Jaane ka waqt aa gaya hai
Par rokte hain chaahne waale.
Unhe bhi shayad
Meri aadat si pad gayi hai.
Aadat hi hogi..
No comments:
Post a Comment