Wednesday, May 20, 2009

Amavas

ek nazar jo utha ke dekha

har taraf ek hi aks nazar aaya

kuchh waqt hi yun ho gaya tha

us amavas ki raat mein

ek chaand mujhko nazar aaya.

 

ye bhi baat ajeeb lagti hai

ki koi yaad itni taaza ho zehen mein.

sach-jhooth ki parvah hi kyon karun

jab hai tu mere paas

us amavas ke lams mein.

 

milo kabhi phir to batana

koi lamha mera jo tumhare paas tha.

lafz mere jo tumne sune honge.

pooranmasi ke chaand par batana

aaj amavas ka chaand tha.

 

boondein kuchh paani ki

aankhein bhigane lagi hain.

nalayak hain saari ki saari.

amavas ka andhera aur sannatta dekhkar

teri yaad mein gaane lagi hain.

2 comments:

Andy said...
This comment has been removed by the author.
Andy said...

ek nazar jo utha ke dekha

har taraf ek hi aks nazar aaya
har taraf!! :O

no wonder amawas thi :X